Page 722 - Quran-e-Kareem
P. 722
rd
th
37 Sureh Saaffat (722) 23 para
Hazir kiye jaayenge 37:158 (laa) jo kuch ye bayan kerte hain khuda e taale
us se munazza hai 37:159 (laa) {siwaaye} Allah k mukhlis bandey issey
mustashna rahey 37:160 pas tum aur jin jin ko tum poojte ho 37:161 wo
sab milker khuda k berkhilaf kisi ko behkane waale nahin ho 37:162 (laa)
siwaae uske jo jahannhum mein jaane wala hai 37:163 aur hum mein se ek
bhi aisa nahin hai jiske liye ek moiyyan thikana ho 37:164 (laa) aur
yaqeenan hum saff bandhne wale hain 37:165 (jeem) aur beshak hum
tasbeeh kerne waale hain 37:166 aur yaqeenan wo ye kehte the 37:167 k
agar hamaare paas pehloun ki kitaab hoti to 37:168 (laa) hum bhi khuda k
khaalis bandon mein se hote 37:169 khair unhone iska inkaar kiya pas
aage chalker unko maloom hi hojaega 37:170 aur hamaara waada hamaare
mursal bandon se pehle hi ho chuka tha 37:171 (jeem) k un sab ko
yaqeenan madad pahunchai jaegi 37:172 (saad) aur hamara lashker zaroor
ghalib rahega 37:173 pas tum inse ek waqt tak k liye rugerdaan ho jao
37:174 aur unki haalat dekhte raho ke aage chalker ye khud dekhlenge
37:175 kya ye hamaare azaab k bare mein jaldi kerte hain 37:176 to jab wo
inper aa utrega to unlogon ki jo daraaye ja chuke hain bahut hi buri haalat
ho jaegi 37:177 aur ek

