Page 721 - Quran-e-Kareem
P. 721
rd
th
37 Sureh Saaffat (721) 23 para
Ningal gayi aur ye apne aap ko malamat kerne lage 37:142 pas agar ye
kaheen tasbeeh kerne walon mein se na hote to 37:143 (laa) jis din sab
uthadiye jaayenge us din tak machli k pet mein hi rehte 37:144 (jeem) phir
humne unko ek khali jagah mein dal diya jis haal mein k wo natawan the
37:145 (jeem) aur unke uper kaddu ka ek darakht uga diya 37:146 (jeem)
aur unko ek lakh ya usse bhi zyada k liye Rasool banaker bheja 38.147 pas
wo log imaan le aaye aur humne unko ek muqarara waqt tak nafa
pahunchaya 37:148 (toye)ab unse poocho kya tere khuda k liye to betiyan
hain aur inke liye bête 37:149 (laa) kya humne inko dikha dikha ker
farishtoun ko aurtein paida kiya hai? 37:150 agaah raho, ye yaqeenan inka
bohtan hai jo ye kehte hain 37:151 (laa) k Allah k bhi aulaad hai aur ye
yaqeenan jhoot hai 37:152 kya usne bête chordker betiyan ekhtiyar kerlen ?
37:153 tumhen ho kya gaya hai, tum kaise faisle kerte ho 37:154 (laa) kya
tum itna bhi nahin samajhte 37:155 (jeem) kya tumhaare paas koi khuli
hujjat hai 37:156 (laa) pas agar tum sachhe ho to apni kitaab pesh karo
37:157 aur unhone khuda k aur jinnat k mabain rishta qarar dediya,
halanke jinnat is baat ko khoob jante hain k ye (muftari) zaroor

