Page 49 - Quran-e-Kareem
P. 49
nd
2 Sureh Al-baqara (49) 2nd para
Khair o khubee ataa kar aur azaab dozakh se hamey bachaale 2:201
unlogon k liye usmea jo kuch unhone kiya hai hissa hai (toye) aur allah
jald(1) hisaab lene wala hai 2:202 aur ginti k dinon mea (2) zikr e khuda
karo (toye) phir jo shaks do hee din mea (mina se) chal khara ho to uske
zimmey kuch gunah nahi hai (jeem) aur jo shaks thayra rahey to ussper
(bhi) koi gunah nahi hai (ye wussatt uske liye hai ) jo parhezgaar ho(toye)
aur khuda se darte raho aur jaan lo k tum uski huzoor mea zaroor haazir
kiye jaaogay 2:203 aur logon mea aisa (bhi) hai jiski baatein zindagaani
dunia mea tumko achi maalum hoti hai aur jo kuch uske dil mea hai
ussper khuda ko gawah banaata hai (laa) halaanke wo dushmanon mea se
sabse zyaada jhagraalu hai 2:204 aur jab peet phere to ye koshish karta hai
k zameen mea fasaad barpa karey aur zaraayat (khayti) ko aur nasl ko
barbaad karde (toye) halaanke allah fasaad ko pasand nahi karta 2:205 aur
jab usse ye kaha jata hai k tuu khuda se darr to gunah karne ki haykri
uske dil mea samah jaati hai pass uske liye jahannum kaafi hai (toye) aur
wo bohhot hee bura thikana hai 2:206

