Page 50 - Quran-e-Kareem
P. 50
nd
2 Sureh Al-baqara (50) 2nd para
Aur admiyoun (1)mea se aese (bhi) hai jo raza e khuda haasil karne k liye
apnay nafs ko farokhat karta hai (toye) aur allah kull bandon per bohhot
hee meherban hai 2:207 aye imaan laane waalo sab k sab islam mea
daakhil hojaao (swat) aur shaytaan k khadam ba khadam na chalo (toye)
beshak wo tumhaara khula dushman hai 2:208 phir baad iske tumhaare
pass khuli daleelayn aa chuki hain agar tum lagzish (dagmagaaya) karo to
ye samajlo k allah zabardast (aur) hikmat wala hai 2:209 kia wo iska
intezaar karte hai k allah baadaloun k saaye mea unke pass aaye aur
farishte aaye aur kull maamela hee chuk jaaye (toye) halaan k kull
umoor(amr plural) k baazgasht khuda hee ki taraf hogi 2:210 (25AIN14-9)
bani israayel se daryaaft karlo k humne kitni khuli nishaaniyan (2) unko
dee thi (toye) aur jo shaks nemat e khuda ko baad iskey k uske pass aa
chuki ho badal daalega to khuda azaab (bhi) sakht dene wala hai 2:211
zindagaani dunya unlogon ki nazron mea jo munkir hai zeenat dedi gayi
hai aur wo imaan laane waaloun se thatha(mazaak) karte hai (meem)

