Page 55 - Quran-e-Kareem
P. 55
nd
2 Sureh Al-baqara (55) 2nd para
Tumhaari aurtein tumhaari khaytiyaan hai jiss tarah jee chaahe aao aur
apnay liye nayk amal bhejte raho (toye) aur allah se daro aur ye jaanlo k
tumhein uski hazoor mea zaroor haazir hona hai (toye) aur mominoun ko
khush khabri sunaate raho 2:223 aur khuda e taala ko apni fuzool
qasmoun k zariyea se iss baat ki rok na kharaar do k tum nayki karne
parhezgaari baratne aur logon (3) k maabayn suleh karaane se baaz raho
(toye) aur allah (sab kuch) sunne wala aur janne wala hai 2:224 tumhaari
khasmoun mea jo lagh(jhooti khasam) hongay unke bare mea khuda
tumse muaakhayza na karega balke wo unper muakhayza karega jo
tumhaare (badd) amaal iraadatan (5) hongey (toye ) aur allah bakhashne
wala(aur) burdbaar(zimmaydaar) hai 2:225 jo log apni azwaaj k pass na
jaane ki khasam khaale unko chaar mahinay ki mohlat hai (jeem) phir agar
rujuu karle to allah badha bakhashne wala (aur) reham karne wala hai
2:226 aur agar talaakh ka pokhta iraada karle to allah sunne wala (aur)
janne wala hai 2:227 aur jin aurton ko talaakh dee gayi hai wo apnay
aapay ko teen tahaar tak rokein (7)(toye) aur ye unke liye hargiz jaayez
nahi hai k khuda ne unke rehem mea jo kuch payda kiya ho usko
chipaayein ba sharteeke wo khuda aur qayamat k

