Page 52 - Quran-e-Kareem
P. 52
nd
2 Sureh Al-baqara (52) 2nd para
Madad kab aayegi (toye) (aur hamaari taraf se kaha gaya k) khabardaar
hojaao allah ki madad ab aayi 2:214 log tumse daryaaft karte hai k raahe
khuda mea kia kharch karein (toye ) unse kehdo maal mea se jo kuch bhi
tum kharch karo to waaledayn k liye aur khareeb k rishtedaaroun k liye
aur yateemoun k liye aur mohtaajoun k liye aur musaafiraoun k liye (toye)
aur jo nayki (bhi) tum karogay uska ilm khuda ko yakheenan hai 2:215
tum per jehaad wajib kiya gaya hai halaanke wo tumko naagawaar hai
(jeem) aur shayad ek cheez tumko na gawaar ho aur wo tumhaare liye achi
ho (jeem) ajab nahi k ek cheez ko tum pasand karte ho aur wo tumhaare
liye buri ho (toye) halaanke allah jaanta hai aur tum nahi jaante
2:216(26AIN6-10) mohtaram mahinay mea jung karne k mutaalukh tum se
daryaaft karte hai (toye ) kehdo k usmea jung karna badha gunah hai
(toye) aur raah e khuda se rokna aur (khud) khuda ka inkaar karna aur
masjid el haraam se rokna (qaaf) aur uske ahal ko usse nikaaldena khuda k
nadzeek zyaada badha gunah hai (jeem) aur fasaad barpa karna
khoonrayzi se bardh ker hai (toye) aur wo (kuffar) tumse barabar larhte
rahenge yahan tak k inka bass chale to

