Page 57 - Quran-e-Kareem
P. 57
nd
2 Sureh Al-baqara (57) 2nd para
Qaayem rahenge aur ek dusre ki taraf rujuu karle (1) to donoun k
zimmey koi ilzaam nahi (toye) aur khuda apni ye haddayn un logoun k
liye bayaan karta hai jo samajh rakhte hai 2:230 aur jab tumne aurtoun ko
talaakh dedi aur wo apnay iddah k (khatam k) qareeb jaa pohonche uss
waqt ya to nayki k saath unhe roklo ya nayki k saath unko chalta kardo
(swat) aur unka rokna nuqsaan pohonchaane ki niyyat se na ho (jeem)
aur jo aesa karega wo apni jaan per zulm todega aur khuda ki aayatoun ko
hassi khel na banaao aur allah ki nehmat jo tumper hai usko bhi yaad
karte raho aur usse (bhi) jo kuch kitaabo hikmat mea usne tumper nazil
kiya hai k uske zariyea se tumko nasiyyat karey (toye) aur allah se daro aur
ye samjho k allah her shay ka ilm rakhta hai 2:231 (29AIN3-13) aur jab
aurtoun ko talaakh de chuko aur wo apna iddah poora karchukey to unko
aur (3) shauroun k saath nikaah karne se jab k wo nayki k saath aapas mea
razaamand hojaaye baaz na rakho (toye) tum mea se

