Page 61 - Quran-e-Kareem
P. 61
nd
2 Sureh Al-baqara (61) 2nd para
Allah ki yaad iss tarah karo jiss tarah usne wo cheezein tumko taleem ki
hai jo tum pehle nahi jaante they 2:239 aur tum mea se jo log marne k lag
bhag ho aur biwiyaan chorde to (unhe laazim hai k ) (jeem) unko ek saal
tak naan wa nufqa dene aur (gher se ) na nikalne ki (warsa ko )wasiyyat
kardein (jeem) phir agar wo ( aurtein khud ba khud) nikaljaaye to jo kuch
nayki k saath apnay baarey mea karlein usmea tumhaare zimmay koi
ilzaam nahi hai (toye) aur allah zabardast (aur) hikmat wala hai 2:240 aur
jinko talaakh dee gayi hai unhein (bhi) nayki k saath nafa pohonchana
(2)(toye) parhezgaaroun k zimmey ek haq hai 2:241 issi tarah khuda e taala
apnay ehkaam tumhaare liye khol ker bayaan karta hai taa k tum samajlo
2:242 (31AIN7-15) kia tumne unn logoun ko nahi dekha jo maut k darr se
apnay gharoun se nikal gaye they aur wo hazaaroun (hee) they (swat) pass
khuda ne unse farmaya (k) marjao phir unko zinda kardiya (toye) beshak
allah logoun per fazl karne wala hai wa lekin bohhot se log shukr nahi
karte 2:243 aur raah e khuda mea

