Page 64 - Quran-e-Kareem
P. 64
nd
2 Sureh Al-baqara (64) 2nd para
Sab hee ne to piya phir jab wo aur uske imaandar saathi uss (darya) ko
uboor kar gaye to unhone keh diya k aaj to hum mea jaalot aur uski
foujon k muqaable ka dum hai (toye) nahi aur jinko yakheen tha k humko
khuda k saamne jana hai unhone kaha k bohhot se chotey (chotey) grow
badhey(badhey) growoun per khuda k hukum se ghaalib aagaye hai (toye)
aur allah sabr karne waaloun k saath hai 2:249 aur jiss waqt wo (log) jaalut
aur uske lashkaroun se larhne nikle to unhone arz ki (k) aye hamaare
parwardigaar humko poora sabr inaayat farma aur hamaare khadam
Jamaaye rakh aur iss kaafir khoum k barkhilaaf hamaari imdaad farma
2:250 phir unhone allah k hukum se unn dushmanoun ko shikast dedi aur
daaod (2) ne jaalut ko khatl kardiya aur unn (daaod) ko khuda ne saltanat
aur hukumat ataa farmaayi aur jo (jo) kuch munaaseb samjha taleem
farmaya (toye) aur agar khuda baaz aadmiyon ko baaz k zariyea se dafaa
na karta to ruuh e zameen per fasaad phayl jaaye wa lekin allah kul
aalaymoon per fazal karne wala hai 2:251 ye allah ki barhaq aayatein hai jo
hum tumko parhker sunaate hai (toye) aur beshak tum rasooloun mea se
ho 2:252

