Page 63 - Quran-e-Kareem
P. 63
nd
2 Sureh Al-baqara (63) 2nd para
To kehne lagey isko humper hukumat kahan ho sakti hai halaanke hum
hukumat k isse zyaada sazaawar hai isko kashaayesh e maal to dee hee
nahi gayi hai (toye) (nabi ne) farmaya beshak allah ne isko tumper buzurgi
dee hai aur usko ilm aur jism mea zyada kiya hai (toye) aur allah apni
hukumat jisse chaahe inaayat farmaaye (toye) aur allah saaheb e wussat aur
aleem hai 2:247aur unke nabi ne unse ( ye bhi) kaha k uske baadshah
honay ki nishaani ye hai k tumhaare pass wo sandookh aajaayega jismea
tumhaare rabb ka sakina (3) aur aal e musa aur aal e haroon k
tarkay(chora hua samaan) ka baqiyya(bacha hua) moujuud hai farishte
usse uthaaye huye hongey agar tum momin ho to ussi mea tumhaare liye
nishaani (moujuud) hai 2:248(32AIN6-16)phir jiss waqt taalut faujain lekar
chala to usne kehdiya k allah taala ek darya se tumhaari aazmaayesh
karega (jeem) jo usmea se pee lega wo to mera nahi hai (jeem) aur jo usse
naa chakega pass wo yakheenan mera hai siwaaye iske k ek chullu bhar
apnay haath se lele (jeem) pass unmea se siwaaye maadudechand (bohhot
kam) k

