Page 58 - Quran-e-Kareem
P. 58
nd
2 Sureh Al-baqara (58) 2nd para
Jo allah aur qayamat k din per imaan laya hai usko iske zariyye se nasiyyat
ki jaati hai (toye) ye tumhaare liye badhi nafah ki aur gunaahoun se paak
karne ki baat hai (toye) halaan k allah jaanta hai aur tum kuch nahi jaante
2:232 aur maayein (1) apnay bacchoun ko uski khaatir se (2) jo doodh
pilaane ki muddat poori karna chaahe poore do baras doodh pilaaye (toye)
aur un (doodh pilaane waali aurtoun) ka khana kapra dastoor k muaafeq
bacchey waale k zimmea hai (toye) kisi shaks ko uski wussatt(uski taakhat)
se zyaada takleef na dee jaaye (jeem) na maa ko uske bacchey k sabab se
zarrar(takleef) pohonchaaya jaaye aur na baap ko uske bachey k sabab se
zarrar(takleef) pohonchaya jaaye (qaaf) aur baap k qaayem mukhaam k
zimmey (bhi) issi tarah hai (jeem) phir agar dono (baap aur maa)ki marzi
aur aapas k mashwere se doodh churaa lena chaahe to dono per koi ilzaam
nahi hai (toye) aur agar tumhaara ye irada ho k tum apnay bacchon ko kisi
daayi se doodh pilaao to (bhi) tumper koi ilzaam nahi hai bashartiyye k
tum sulook k taur per jo kuch daayi ko dete ho utna hee maa k hawaale
(bhi) kardo aur allah se daro aur ye jaan lo k

