Page 56 - Quran-e-Kareem
P. 56
nd
2 Sureh Al-baqara (56) 2nd para
Din per imaan rakhtee ho (toye) aur iss muddad mea unke shauhar agar
saazgari ka irada karey to unko wapas lene k zyaada mustahaq hai (toye)
aur un (aurtoun) (1) ka haq nayki k baarein mea (mardon k zimmay)
waisa hee hai jaisa k un (mardoun ) k aurtoun k zimmey (toye) aur
mardoun ko unper ek darja fazeelat hai aur allah zabardast (aur) hikmat
wala hai 2:228 (24AIN7-12) talaakh (rajee) do martaba hai (swat) iske baad
ya to nayki k saath roklena hai ya sulook (2) k saath rukhsat kardena
(toye) aur ye tumhaare (mardoun k )liye halaal nahi hai k jo kuch tum
unhe dechukey ho usmea se kuch wapas lelo siwaaye iss suurat k k dono
ko iss baat ka khouff ho k (dono) hudood e khuda per qaayem na reh
sakenge(toye) phir agar tumko iska khouff ho k turfayn (dono bhi)
hudood e khuda per qaayem na rahenge aur aurat kuch fidya(3) dede
(toye) to ismea dono per kuch ilzaam nahi hai ye allah ki hudood hai pass
inse tajaawuz na karo (jeem) aur jo allah k hudood se tajaawuz karenge
wahi log to zaalim hai 2:229 phir agar (4) aurat ko (teesri) talaakh dede to
wo uss (mard) k liye halaal na hogi jab tak k uske siwaa ek aur shauher se
nikaah na karle (toye) phir agar (5) dusra shauher (ba khushi) talaakh
dede aur undonoun ka (bhi) ye khayal ho k khuda ki hudoodoun per

