Page 59 - Quran-e-Kareem
P. 59
nd
2 Sureh Al-baqara (59) 2nd para
Jo kuch tum karte ho allah usse dekh raha hai 2:233 aur jo log tum mea se
marjaaye aur azwaaj chor jaaye to wo aurtein chaar mahiney dus din apnay
aap ko (1) rokayn aur jab wo apna iddah poora karlein to jaayez taur per
apnay baarei mea jo kuch wo karein ismea tumper koi ilzaam nahi hai
(toye) aur tum jo kuch karte ho allah usse khabardaar hai 2:234 aur iss
baab (baarey) mea tumper koi ilzaam nahi hai k in (iddah waali ) aurtoun
ko kinaaya k taur per payaam do ya iss khayaal ko apnay dil mea chipaaye
rakho (toye) allah jaanta hai k ankhareeb tum unko yaad karogay lekin
posheeda taur per sareeh waadey na lo siwaaye iske k unse (kinaaye k taur
per ) nayk baat kaho (toye) aur jab tak iddah poora na hojaaye nikaah ka
qasad na karna (toye) aur ye samajlo k jo kuch tumhaare dilon mea hai
allah usse jaanta hai pass usse darte raho aur ye (bhi) jaan lo k allah badha
bakhashne wala (aur)burdbaar(samajdaar) hai 2:235(30AIN4-14)

