Page 60 - Quran-e-Kareem
P. 60
nd
2 Sureh Al-baqara (60) 2nd para
Agar tum unn aurtoun ko chordo jin k pass tum nahi gaye ya jinka tumse
koi meher nahi muqarrar kiya gaya hai to tumper koi ilzaam nahi hai
(jeem) albatta unko kuch nayki k taur per kuch nafaa pohoncha do (jeem)
(ye nafa pohonchana) Saheb e maqroor per uski haisiyyat k muaafiq
laazim hai (jeem) aur muflis per uski haisiyyat k mutaabiq (jeem)
naykokaaroun per ye (bhi) ek haq hai 2:236 aur unke pass jaane se pehle
talaakh dedo jiss haalat mea k unka meher tayy karchukey they to jo kuch
tumne muqarrar kiya tha uska nisf (tumhaare zimmay hai) siwaaye iske k
wo (aurtein ) maaf kardein ya wo maaf kardein jiske haath nikah ka
ikhtiyaar tha (toye) aur agar tum maaf kardo to (ye) parhezgaari se zyaada
qareeb hai aur aapas mea badhaayi haasil karne ko naa bhulo (toye)
beshak jo kuch tum karte ho allah uska dekhne wala hai 2:237 kul
namaazoun ki muhaafizzat karo khaasker namaaz e wusta ki (qaaf) aur
khuda ki huzoor mea kharey huye qunoot parho 2:238 phir agar tumko
qauf ho to paydel chalte chalte ya sawaari ki haalat mea (adaa karo) (jeem)
phir jab tumko itmenaan ho to

