Page 62 - Quran-e-Kareem
P. 62
nd
2 Sureh Al-baqara (62) 2nd para
Larho aur ye samajlo k allah (sabkuch) sunta janta hai 2:244 wo kaun hai
jo allah ko acha kharz de k khuda usko uske liye be inteha badha de (toye
) aur allah tang dast (bhi) karta hai aur faraakhi (bhi) deta hai (swat) aur
ussi ki taraf tumhaari baazgasht hogi 2:245 kia tumne musa k baad waale
bani israael k ek grow ki haalat per nazar nahi daali (meem) jab k inhone
apnay payghambar se ye kaha k hamaare liye ek baadshah muqarrar
kardijiyea k hum raah e khuda mea larhe (toye) (uss payghamber ne )
farmaya aesa na ho k agar jehaad tumper wajib kiya jaaye (to) phir na
larho (toye) wo bolay k jab hum apnay gharoun se nikaale gaye aur apnay
bachon se alag kiye gaye to ab hamein kia hai jo raah e khuda mea naa
larhenge (toye) phir jab unnper jehaad wajib kiya gaya to unmea se
siwaaye chand k sab hee phir gaye (jeem) aur allah zaalimoun se (khub)
waaqif hai 2:246 aur (jab) unke nabi ne unse kaha k allah ne taalut ko
tumhaare liye baadshah muqarrar kiya hai (toye)

