Page 66 - Quran-e-Kareem
P. 66
rd
nd
2 Sureh Al-baqara (66) 3 para
Asmaanoun mea aur zameen mea hai ussi ka hai (toye)wo kaun hai jo
uske izn baghair uski huzoor mea shifaayat karey wo logoun k aayenda aur
gizishta k haal jaanta hai (jeem) aur log uske ilm ka kisi tarah ahaata
(poori samajh) nahi karsakte siwaaye iske jitna wo chaahe (jeem) uski
kursi (1) aasmanoun ko aur zameen ko haavi hai (jeem) aur in donon ki
hifaazat usse thakaati nahi (jeem) aur wo buland martaba (aur) saaheb e
azmat hai 2:255 deen mea koi zabardasti(2) nahi hai ( jeem) yaqeenan
hidaayat gumraahi se alag hogayi (jeem)pass jo shaks taaghut ka munkir
ho (3) aur allah per imaan laaye usne beshak mazboot rassi (4) pakarli
(jeem)jo tootne (5) waali nahi hai (toye) aur allah sunne wala (aur) jaanne
wala hai 2:256 jo log imaan laaye allah unka haami hai unko taarikiyon se
nuur ki taraf nikaal laata hai (toye) aur jo log munkir hogaye unke
himaayeti taaghut hai jo unko nuur se nikaal ker taarikiyyon (5) ki taraf
lejaate hai (toye) wahi jahannumi hai (jeem)

