Page 71 - Quran-e-Kareem
P. 71
nd
rd
2 Sureh Al-baqara (71) 3 para
Beniyaaz aur laayekh e hamd hai 2:267 shaytaan tumko faqr se daraata aur
behuda baatoun ki targheeb deta hai (1)(jeem) aur allah apni taraf se
maghferat aur fazal ka waada karta hai (toye) aur allah saaheb e wussat o
ilm hai 2:268(laa) (wo) jisko chaaheta hai hikmat inaayat farmata hai
(jeem) aur jisko hikmat dee gayi ba tehqeeq usse (to) bohhot kuch khair o
barkat dee gayi (toye) halaanke siwaaye aqal mandoun k koi nasiyyat nahi
haasil karta 2:269 aur jo kuch (bhi) tumne (raah e khuda mea )surf kiya
aur jo kuch (bhi) tumne mannat maani wo allah ko zaroor maalum hai
(toye ) aur zaalimoun ka koi madadgaar na hoga 2:270 agar tum sadqaat
ko zaahir karo to wo acha hai(jeem) aur agar tum unko chupaao (3) aur
mohtaajoun ko do to wo tumhaare haq mea (aur) behtar hai (toye) aur
tumhaari baddiyoun ka kuffara hoga (toye) aur jo kuch tum karte ho allah
uss se aagah hai 2:271 ( aye rasool ) tumhaare zimmay ye nahi hai k tum
unko manzil e maqsood tak pohonchaado lekin allah jisse chahta hai
manzil e maqsood tak pohonchaa deta hai (toye) aur jo kuch tum nayki
mea kharch karogay

