Page 75 - Quran-e-Kareem
P. 75
nd
rd
2 Sureh Al-baqara (75) 3 para
Aur agar do mard naa ho to ek mard aur do aurtoun ko gawah banaalo taa
k unn ( aurtoun )mea se agar ek bhuul jaaye to dusri usse yaad dilaaye
(toye) aur gawah jiss waqt bulaaye jaaye to inkaar na karey (toye) aur tum
kisi chotey barhe muammle k likhne mea susti na karo (toye) khuda k
nasdeek ye zyaada insaaf ki baat hai aur shahaadat ka zyaada saboot hai
aur is baat k zyaada khareen hai k tumko shak na parhe siwaaye k jo
naqad sauda ho jaisa tum baahami layn dayn kiya karte ho pass agar tum
isko na likho to tumper kuch gunah nahi hai (toye) aur jiss waqt tum
khareed o farokht karo to gawah karlo (swat) aur kaatib ko aur gawah ko
koi nuqsaan na pohonchaya jaaye (toye) aur agar tum aisa karogay to ye
tumhaari taraf se naafarmani hogi (toye) aur allah se daro (toye) aur allah
tumko (ehkaam) taleem karta hai (toye) aur khuda her shay ka ilm rakhta
hai 2:282 aur agar tum safar mea ho aur koi kaatib

