Page 76 - Quran-e-Kareem
P. 76
nd
rd
2 Sureh Al-baqara (76) 3 para
Na paao to jo cheez tumhaare pass hai usse rehen kardo (toye) phir agar
tum mea se koi kisi dusre ko ameen samajle to jisko ameen samjha gaya
hai usse laazim hai k dene waale ki amaanat adaa karde aur allah se jo
uska parwardigaar hai daro (toye) aur shahaadat ko na chupaao (toye) aur
jo shahaadat ko chupaayega uska dil yakheenan gunahgaar hai (toye) aur
jo kuch tum karte ho allah usse aagah hai 2:283 (39AIN2-7) jo kuch
aasmanoun mea aur zameen mea hai wo allah (hee) ka hai (toye) aur jo
kuch tumhaare diloun mea hai khawa usse tum zaahir karo ya chupaao
allah tumse (1) uska hisaab lega (toye) phir jisse chaahega baksh dega aur
jisse chaahega azaab dega (toye) aur allah her shay per (poori poori)
khudrat rakhne wala hai 2:284 rasool (2) ussper imaan laaye hai jo unnper
unke parwardigaar ki taraf se naazil kiya gay hai aur momineen (bhi)
(toye) sab allah per aur uske farishtoun per aur uski kitaaboun per aur
uske rasooloun per imaan laaye hai hum uske rasooloun mea se kisi (ki
tasdeeq ) mea koi tafreeq nahi karte aur unnlogoun ne ye kaha k humne
sunah aur maan liya (qaaf) aye hamaare parwardigaar hum teri maghferat
ki khuwaaistegaar hai aur teri hee taraf baazgusht hai 2:285 allah kisi nafs
ko uski

