Page 72 - Quran-e-Kareem
P. 72
nd
rd
2 Sureh Al-baqara (72) 3 para
Uska nafa tumhaare liye hoga (toye) jiss haal mea k tum siwaaye khuda ki
raza joyi k aur kisi gharz se surf na karo (toye) aur jo kuch (bhi) tum
nayki mea kharch karogay wo tumko poora poora diya jaayega aur tumko
kuch nuqsaan na pohonchaya jaayega 2:272 tumhaare sadaqaat(1) unn
mohtaajoun ka haq hai jo raah e khuda mea mahsoor (khayd) hogaye ho
aur kisi taraf mulk mea jaa na sakte ho naawaaqif unki khuddari ki wajah
se beniyaaz khayaal karta hai (jeem) tum unki alaamatoun ki wajah se
unhe pehchaanlogay (jeem) wo logoun se girgiraaker sawaal nahi karte
(toye) aur tum nayki mea jo kuch (bhi) kharch karogay allah usse aagah
hai 2:273 (37AIN7-5) jo log apnay maal raat aur din posheeda aur zaahir
(raah e khuda mea ) surf kiya karte hai unka ajar unke parwardigaar k
pass hai (jeem) unko na koi khauff hoga aur na wo ghamgeen hongay
2:274 jo log suudh khaate hai wo (khabr se nikal ker) na kharey hongay
magar uss shaks ki tarah jisko shaitaan ne chuuker maghboot-al-hawas
(paagal) kardiya ho(toye) ya issliye k wo kehte they k muaamela
baey(bussiness) bhi

