Page 74 - Quran-e-Kareem
P. 74
nd
rd
2 Sureh Al-baqara (74) 3 para
Na tum zulm karo aur na tummper zulm kiya jaaye 2:279 aur agar
makhruuz tangdust ho to furaaghat k zamaane tak mohlat (do)(toye) aur
agar tum asal kharz maaf kardo to wo tumhaare liye behtar hai basharte k
tum samjho 2:280 aur uss din se daro jissdin khuda ki huzoor mea haazir
kiye jaaogay phir her nafs ko jo kuch usne kiya hai uska poora (poora)
badla mileyga aur unnper zulm na kiya jaayega 2:281(38AIN8-6) aye imaan
laane waaloun jab tum kisi muqarrar muddat k liye aapas mea kharz ka
layn dayn karo to usko likh liya karo (toye) aur laazim hai k kaatib
tumhaare maabayn insaaf se likhey (swat) aur kaatib likhne se inkaar na
karey balke jiss tarah allah ne usse sikhaya ussi tarah likhde (jeem) aur jo
kharz lene wala ho wo likhwata jaaye aur usse laazim hai k khuda se darey
aur kharz dene waale ka kuch haq kam na karde (toye) phir agar wo kharz
lene wala nadaan ya kamzor ho ya ibaarat khud na batla sakta ho to uska
wali insaaf k saath batlaaye (toye) aur gawaahoun mea se jo tumhe pasand
ho do mardon ko gawah banaalo (jeem)

