Page 77 - Quran-e-Kareem
P. 77
rd
3rd Sureh Aale Imran (77) 3 para
Wussat se zyaada takleef nahi deta (toye) (ab) jo kuch usne acha kiya uska
nafah uske liye hai aur jo kuch usne bura kiya uska nuqsaan uske liye hai
(toye) aye hamaare parwardigaar agar humse bhuul chuk hojaaye to uska
muaakheza (uski pakar) na kar (jeem) aur hum per waisa baar na daal jaisa
unnper daala tha jo humse pehle they (jeem) aye hamaare parwardigaar
aur humse utna naa uthwaa jiski hum mea taakhat nahi (jeem) aur humse
darguzar (qaff) aur humko bakhash de (qaff) aur humper rehem kar (qaff)
tu hamaara akha hai pass humko kaafir logoun k muqaable mea madad de
2:286 (40AIN3-8)
SUREH AALE IMRAN (MADINEE) 200 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Alif laam meem 3:1(laa) Allah k uske siwaaye koi maabud nahi zinda wa
qaayem hai 3:2(toye) usne tumper kitaab ber haq naazil ki jo apnay se
pehli (kutub) ki tasdeeq karti hai aur usne aadmiyoun ki hidaayat k liye
pehle taurayt-o-injeel naazil ki 3:3(haa)(laa) aur ussi ne quran utaara
(1)(haa) (toye) beshak jo log khuda ki nishaaniyoun k munkir hogaye

