Page 73 - Quran-e-Kareem
P. 73
nd
rd
2 Sureh Al-baqara (73) 3 para
Misl e sood k hai (meem) halaanke khuda ne baey ko halaal kiya hai aur
sood ko haraam kharaar diya hai (toye) pass jiss shaks k paass uske rab ki
taraf se nasiyyat aayi aur wo baaz raha to jo kuch pehle guzar chukka (1)
wo uske liye (maaf )hai (toye) aur uska maamla khuda k hawaale hai
(toye) aur jo kuch phir aesa hee karey wahi dozakhi hai (jeem) jismea wo
hamesha (hamesha) rahenge 2:275 allah taala sood ko (2) mithaa deta hai
aur sadaqaat ko barhaata hai (toye) aur allah kisi munkir gunehgaar ko
dost nahi rakhta 2:276 beshak jo log imaan laaye aur unhone nayk kaam
kiye aur namaaz parhi aur zakaat dee unke liye unka ajar unke
parwardigaar k pass hai (jeem) aur unhe na koi khauff hoga na wo
ghamgeen hongay 2:277 aye imaan laane waaloun agar tum momin ho to
allah se daro aur soodh jo (kisi per) baakhi rehgaya hai usse chordo 2:278
phir agar tum aesa naa karo to allah aur uske rasool se larhne k liye tayyar
hojaao (jeem) aur agar tum taubah karlo to tumhaari asal poonji tumko
milni chaahiyea (jeem)

