Page 78 - Quran-e-Kareem
P. 78
rd
3rd Sureh Aale Imran (78) 3 para
Unke liye sakht azaab hai (toye) aur allah zabardast (aur) badla lene wala
hai 3:4(toye) beshak aasmaan o zameen ki koi cheez allah se chupi hui
nahi hai 3:5 (toye) wo wahi to hai jo rehem (1) e maadar mea jaise chahta
hai tumhaari suuratayn banadeta hai (toye) siwaaye uss zabardast hikmat
waale k koi maabud nahi hai 3:6 wo wahi to hai jisne tumper kitaab naazil
ki jiski kuch aayatein to saaf (saaf) hai (2) aur wahi kitaab ki asal hai aur
kuch gol gol hai (toye) ab jin logoun k diloun mea khot hai wo fitna
phaylaane ki niyyat se aur apna matlab nikaalne ki gharz se un gol (gol)
aayatoun ki pairwi karte hai halaanke inka asli matlab siwaaye khuda aur
unn logoun k jo ilm mea mazboot hai (meem)(3) aur koi nahi (4) jaanta
wo ye kehte hai k hum issper imaan laaye her ek (muhakkam
mutashaabay) hamaare rabb ki taraf hai (jeem) aur siwaaye saahebaan e aql
k (is se ) aur koi nasiyyat nahi haasil karta 3:7 aye hamaare parwardigaar
baad uske k tuu humko hidaayat karchuka hamaare dil haq se na hataa aur
humko apnay pass se rehmat inaayat ferma (jeem) beshak tu

