Page 81 - Quran-e-Kareem
P. 81
rd
3rd Sureh Aale Imran (81) 3 para
Shahaadat di k siwaaye uske koi maabud nahi hai aur kul farishtoun ne
aur saahebaan e ilm ne (1) jo adal per qaayem hai (toye) (yahee shahaadat
dee k) siwaaye uss zabardast hikmat waale k aur koi maabud nahi hai 3:18
deen to allah k nazdeek islam hee hai (2) (jeem) aur jinko kitaab dee gayi
thi unhone ikhtelaaf nahi kiya magar aapas ki hasad ki wajah se baad iske
k unko ilm hogaya tha (toye) aur jo (shaks) khuda ki aayatoun ka munkir
hogaya to allah (uss se) bohhot jald hisaab lene wala hai 3:19 phir agar wo
tumse hujjat karey to kehdo k maine aur mere taabayeen ne khuda k
saamne (itaayatan) apna sir jhuka(3) diya hai (toye) aur unnlogoun se
jinko kitaab dee gayi hai aur anparh logoun se daryaaft karlo k aaya tum
(bhi) islaam laaye (toye) agar wo islam le aayenge to yakheenan hidaayat
yaafta hojaayenge (jeem) aur agar wo rugardaan hongey to tumhaare
zimmey to sirf payghaam pohonchaa dena hai (toye) aur allah kul
bandoun ka (khud) nigraan hai 3:20 (2AIN11-10) be tehqeeq jo log khuda
ki nishaaniyoun k munkir hai aur naahaq ambiya ko khatl (4) karte

