Page 85 - Quran-e-Kareem
P. 85
rd
3rd Sureh Aale Imran (85) 3 para
aye mere parwardigaar jo mere pete mea hai (1) isko tere naam per chor
dene ki sunnat maanti hun pass tuu meri (ye mannat) qubool karle (jeem)
beshak tuu sunne wala (aur) janne wala hai 3:35 phir jab usse jinaa to
kehne lagee k aye mere parwardigaar maine to ye larki jani (toye) halaan k
allah khoob jaanta tha k wo kia janii (toye) aur larki larka k maanind nahi
hota (jeem) aur maine iska naam maryam rakha aur mea isko aur iski
aulaad ko shaitaan layeen k shar se bachaane k liye teri panaah mea deti
hun 3:36 phir uske parwardigaar ne uski nazar ko husn qabool se qubool
karliya aur us larki ko khoobi k saath barhaaya (ain) aur zakaria ne uski
kifaalat ki (toye) jisswaqt zakaria uss larki k pass mehraab (ibaadat) mea
jaate uske pass kuch khaane ki cheez paatey (jeem) daryaaft karte k aye
maryam ye tumhaare pass kahan se aaye (toye) wo arz karti k allah k pass
se (toye) beshak allah jisko chahta hai behisaab rizzaq inaayat farmata hai
3:37 uss waqt zakaria ne apnay parwardigaar ko pukaara (jeem) (aur) arz
ki k

