Page 90 - Quran-e-Kareem
P. 90
rd
3rd Sureh Aale Imran (90) 3 para
(allah) unko unke ajr poore(poore) dega(toye) aur allah zaalimoun ko dost
nahi rakhta 3:57 (aye rasool) hum tumper ye aayatein aur hikmat wala zikr
tilaawat karte hai 3:58 beshak allah k nasdeek isaa ki misaal adam ki see
misaal hai(toye) isko mitti se payda kiya gaya tha phir usse farmaya ho aur
wo hogaya 3:59 haq tumhaare rab ki taraf se hai pass tum shak karne
waaloun mea se na hona 3:60 phir jo shaks tumse isaa k baarey mea hujjat
karey baad iske k tumhaare pass ilm aa chukka hai to kehdo k (aao) hum
apnay betoun ko bulaaye aur tum apnay betoun ko bulaao(1) aur hum
apni aurtoun ko (bulaaye) aur tum apni aurtoun ko (bulaao) aur hum
apnay nafsoun ko (bulaaye) aur tum apnay nafsoun ko (bulaao) phir hum
khuda ki taraf ruju karey aur khuda ki laanat jhuutoun per kharaar de 3:61
bilaa shak ye sachha bayaan hai (jeem) aur siwaaye khuda k koi maabud
nahi hai (toye) aur beshak wahi khuda zabardast (aur) saaheb e hikmat hai
3:62 phir agar wo rogardaan hojaaye to allah to fasaadiun ko khoob jaanta
hai 3:63 (6AIN9-14) (aye rasool) kehdo k aye ahle kitaab ek aisee

