Page 88 - Quran-e-Kareem
P. 88
rd
3rd Sureh Aale Imran (88) 3 para
aur taurayt aur injeel ki taleem dega 3:48(jeem) aur bani israayeel ki taraf
rasool (banaaker bhejega aur wo yeh kahega (haa) (laa) k mea tumhaare
rabb ki taraf se nishaani lekar aaya hun (laa) (jeem) mea tumhaare liye
goondhee mitti se parindey ki see suurat payda karunga phir usmea phook
maarunga phir wo hukum e khuda se parinda banjaayega (jeem) aur mea
maadarzaad andhey aur kordhi(leprosy) ko tandarust karunga aur mea
hukum e khuda se murdoun ko zinda karunga (jeem) aur jo kuch tum
apnay gharoun mea khaate ho aur jo kuch zakheera karte ho uski tumko
khabar dunga (toye) agar tum momin ho to yakheenan ismea tumhaare
liye nishaani moujuud hai 3:49(jeem) aur (mea issliye aaya hun ) k apnay
se pehle taurayt ki tasdeeq karun aur issliye k baaz cheezain jo k tum per
haraam ki gayyi hai tumhaare liyye halaal kharaar dun aur tumhaare rabb
k pass se nishaani lekar aaya hun pas khuda se daro aur meri itaayat karo
3:50 beshak allah mera parwardigaar bhi hai aur tumhaara parwardigaar
(bhi) pass ussi ki ibaadat karo (toye) seedha raasta yahee hai 3:51 phir jab
isa ne unki taraf se inkaar mehsuus kiya (to) bolay

