Page 92 - Quran-e-Kareem
P. 92
rd
3rd Sureh Aale Imran (92) 3 para
Imaan laaye hai (toye) aur allah kull mominou ka karsaaz hai 3:68 ahle
kitaab k ek grow ne ye khwaahish ki k kaash wo tumko gumraah karle
(toye) halaan k wo apnay aap hee ko gumrah karte hai aur samajte nahi
3:69 aye ahle kitaab khuda ki aayatoun ka kyun inkaar karte ho jiss haal
mea k tum khud gawaahi de rahey ho 3:70 aye ahle kitaab haq ko baatil k
libaas mea kyun zaahir karte ho aur jaan bujh ker haq ko kyun chupaate
ho 3:71(7AIN8-15) aur ahle kitaab k ek grow ne ye kaha k jo (1) kuch
imaan laane waaloun per naazil hua hai din k awwal hisse mea tum bhi
ussper imaan laao aur aakhir hissa mea uss se inkaar karjaao shaayed (issi
tarah) wo bhi phir jaaye 3:72 aur (unhone kaha k) siwaaye uske k jo
tumhaare deen ka pairo(follower) ho kisi per (iss baat k mutaaliq) imaan
na laao k kisi ko wo kuch diya jaaye (2) jo kuch tumko diya gaya hai ya
tumhaare rabb k pass wo tumse kuch hujjat karsakey (aye rasool) tum
kehdo k haqeeqi hidaayat khuda ki hidaayat hai(toye) (aye rasool) tum
kehdo k ismea shak nahi k fazl khuda k haath hai (jeem) jisse wo chaahta
hai deta hai (toye)

