Page 96 - Quran-e-Kareem
P. 96
rd
3rd Sureh Aale Imran (96) 3 para
Imaan laane k baad kaafir hogaye halaan k wo gawaahi de chukey they k
rasool barhaq hai aur unke pass khuli nishaaniyan aa chuki thi (toye) aur
allah zaalim logoun ko taufeeq e hidaayat nahi deta 3:86 unka badla yahee
hai k unper allah ki aur kull farishtoun ki aur kull aadmiyoun ki laanat
(hai)3:87 hamesha wo ussi (laanat) mea rahenge (jeem) na unka azaab
kam kiya jaayega aura na unko mohlat dee jaayegi 3:88(laa) siwaaye unke
jo baad iske touba karle aur (bigaad ki) islaah karey to beshak allah badha
bakhashne wala (aur) rehem karne wala hai 3:89 jo log baad apnay imaan
k kaafir hogaye phir kufr mea barh gaye unki touba hergiz na qubool ki
jaayegi (jeem) aur (asli) gumrah wahi hai 3:90 beshak jo kaafir hogaye aur
kufr hee ki haalat mea margaye unmea se koi ek agar itna sona bhi fidya
mea dena chaahe k poori zameen ko bharde to uska fidya hergiz na qubool
kiya jaayega (toye) unhee k liye dardnaak azaab hai aur unhee ka koi
madadgaar na hoga 3:91(9AIN11-17)

