Page 97 - Quran-e-Kareem
P. 97
th
3rd Sureh Aale Imran (97) 4 para
Tum hargiz (hargiz) nayki (k darje) ko naa pohonchogay jabtak k unn
cheezoun mea se (raah e khuda mea) (1) kharch naa karo jo tumko
mehboob hai (toye) aur jo cheez bhi tum (raah e khuda mea) kharch karte
ho allah usko khoob jaanta hai 3:92 her khism ka khana bani Israel k liye
halaal tha siwaaye uske jo israeel (yakhoob) ne apni zaat per haraam kar
liya tha qabl iske k taurayt naazil ki jaaye(toye) tum (yahood se) kehdo k
agar tum sacchey ho to taurayt laao aur isko parho (aur saabit karo) 3:93
phir jo shaks iske baad allah per bohtaan baandhey wahi to zaalim hai 3:94
kehdo allah ne sach farmaya (qaff) ab tum sacchey dil se millat e ibrahim
ki pairwee karo (toye) aur wo mushrik na they 3:95 beshak sabse pehla
gher jo kull aadmiyoun k liye banaaya gaya wahi hai (3) jo makka mea hai
(wo gher) barkat wala hai aur kull aalamoun k liye hidaayat hai 3:96(jeem)
ismea khuli nishaaniya hai (4) azz aan jumla) muqaam e Ibrahim hai
(jeem) aur jo (5) usmea daakhil hoga

