Page 98 - Quran-e-Kareem
P. 98
th
3rd Sureh Aale Imran (98) 4 para
Aman paayega (toye) aur kul aadmiyoun k zimmay khuda k liye is bayt (1)
ka hajj karna (wajib) hai jisko (bhi) uss tak (pohonchne ki) (2) raah
mayyassir(mil) hojaaye (toye) aur jo kaafir hojaayega to allah kul aalemoun
se be parwa hai 3:97 kehdo aye ahle kitaab tum khuda ki aayatoun ka
kyun inkaar karte ho ? (qaaf) (swat) halaan k alah jo (jo) kuch tum amal
karte ho sab se waaqif hai 3:98 kehdo aye ahle kitaab jo imaan laaya hai
usko raah e khuda se kyun rokte ho aur kyun uske kajrawee(ghalat chalne)
k khwaastagar ho jiss haal mea k tum khud gawah ho ? (toye) halaan k
allah tumhaare aamal se be khabar nahi 3:99 aye imaan laane waaloun agar
tum unn logoun mea se jinko kitaab(4) dee gayi hai kisi grow ki pairvee
karo gay to wo tumko tumhaare imaan laane k baad phir kaafir banaa
denge 3:100 aur tum kyunker (5) kaafir hojaaogay halaan k tumper khuda
ki aayatein parhi jaati hai aur tumhaare darmiyaan uska rasool moujuud
hai aur jo shaks khuda ka sahara lega yakheenan usko siraat e mustaqeem
ki hidaayat ki jaayegi 3:101(10AIN10-1) aye imaan laane waaloun

