Page 95 - Quran-e-Kareem
P. 95
rd
3rd Sureh Aale Imran (95) 3 para
Tumne mera ye bojh apnay zimmay (1) leliya (toye) (to) sabne kaha k
humne iqraar kiya (toye) (khuda ne) farmaya k ab tum sab gawah raho aur
mea (bhi) tumhaare saath gawaahi dene wala hun 3:81 phir jo iss ahad se
phir jaaye wahi to naa farman hongay 3:82 kia deen e khuda k siwaa wo
kisi aur deen k khwaaistegaar hai haalan k aasmaanoun (2) mea aur
zameen mea jo hai baraghbat(khushi se) o bakraahat(karaahat se) issi k
matee hongey aur ussi k huzoor mea palat ker jaayenge 3:83 (aye rasool)
kehdo hum allah per imaan laaye hai aur ussper jo humper naazil hua hai
aur ussper jo Ibrahim aur ismaayel aur ishaaq aur yakhoob aur usbaat per
naazil hua tha aur ussper jo musa aur isaa aur (aur payghambaroun ko
unke rabb ki taraf se diya gaya tha (swat) aur hum (ye haisiyyat e
nabuuwat ) unmea koi farq nahi karte (zaal) aur hum uske khaalis farma
bardaar hai 3:84 aur jo islam k siwaa kisi aur deen ka khwaaistegaar hoga
wo uss se hargiz qubool na kiya jaayega (jeem) aur wo rozay qayamat
nuksaan uthaane waaloun mea se hoga 3:85 khuda aise logoun ko hidaayat
(3) kyun kar karey jo

