Page 93 - Quran-e-Kareem
P. 93

rd
               3rd Sureh Aale Imran                        (93)                                3  para


               Aur allah saaheb e wussat o ilm hai 3:73(laa) wo jisse chaaheta hai apni


               rehmat se makhsoos karleta hai aur allah bardhe fazl wala hai 3:74 aur ahle

               kitaab mea se baaz to aese hai k agar tum unke pass ek dhera amaanat


               rakhwaao to wo tumhey aadha kardenge (jeem) aur baaz aise hai k agar ek

               dinaar tum unke pass supurd kardo to siwaaye iske k jab tak tum unke sir


               per kharey raho wo tumko phayr kar naa denge (toye) wajah iski ye hai k


               wo ye kehte hai k hamaare zimmay (1)in jaahiloun k baare mea kuch

               ilzaam hee nahi (jeem) halaanke wo jaan bujh ker khuda per bohtaan


               baandhte hai 3:75 haan jo khuda k ahad ko poora karega aur parhezgaari

               bartega to bila shuba allah (bhi) parhezgaaroun ko dost rakhta hai3:76


               beshak jo log allah k ahad aur apni khasmoun ko thori(thori) kheemat per


               bechte hai wahi to hai jinka aakherat mea koi hissa nahi hai aur na khuda

               unse baat karega aur na qayamat k din unko (3) (bhari nazar) dekhega aur


               na unko paak karega (swat) aur unke liye dardnaak azaab hai 3:77 aur


               unmea se ek grow yakheenan yakheenan aesa hai k wo
   88   89   90   91   92   93   94   95   96   97   98