Page 89 - Quran-e-Kareem
P. 89
rd
3rd Sureh Aale Imran (89) 3 para
Allah k kaam mea mere madadgaar kaun hai (toye) hawaarin bolay(1)
allah k madadgaar hum hai (jeem) hum allah per imaan laaye (jeem) aur
gawaah rahey k hum farmabardaar hai 3:52 aye hamaare parwardigaar jo
kuch tuu ne humper naazil kiya hum ussper imaan laaye aur humne rasool
ki pairwee ki pass tu (haq ki) shahaadat dene waaloun k saath humko bhi
likh le 3:53 aur wo(yahudi)ek chaal chaley(2) aur allah(badla dene k liye)
ek chaal chala(toye) aur allah sabse behtar badlaa dene wala hai
3:54(5AIN13-3) jiss waqt khuda ne farmaya k aye isaa mea tumhaari
muddat poori karne wala hun (3) aur tumko apni taraf uthaane wala hun
aur tumko kaafiraoun (k mail jhol ki kharaabi) se paak karne wala hun aur
jin logoun ne tumhaari pairwee ki hai unko inkaar karne waaloun per
qayamat tak fauqiyyat dene waala hun (jeem) phir tum sab ki baazgusht
meri taraf hogi aur jin maamelaat mea tum ikhtelaaf kiya karte they unn
mea mein tumhaare maa bayn ussi waqt hukum sunaadunga 3:55 ab jo
kaafir hogaye hai unko to dunia o aakherat mea sakht azaab dunga aur
unka madadgaar koi (bhi) na hoga 3:56 aur jo imaandaar aur naykokaar
hongay to

