Page 86 - Quran-e-Kareem
P. 86
rd
3rd Sureh Aale Imran (86) 3 para
Aye mere parwardigaar mujhey bhi apnay pass se paak aulaad inaayat
farma (toye) baysubah (bilaa shak) tu dua ka sunne wala hai 3:38 phir jiss
haalat mea wo mehraab mea kharey namaaz parh rahey they farishtoun ne
unhe awaz di (aur kaha) k allah tumko bacchey ki khush khabri deta hai
(jo) khuda k kalme ki tasdeeq karne wala aur sardaar aur shehwatoun se
baaz (1) rehne wala aur nabee saalayheen se (hoga) 3:39 (zakaria ne) arz ki
k aye mere parwardigaar mere larka kahan se hoga halaank budhaape ne
mujhey aa ghayra aur meri bibi baanj (infertile) hai (toye) jawaab mila k
allah jo kuch chaaheta hai youn hee kardiya karta hai 3:40(toye) (zakaria
ne) arz ki k mere parwardigaar mere liye koi nishaani qaraar de (toye)
farmaya tumhaari nishaani ye hai k tum teen din tak aadmiyoun se
siwaaye ishaare k baat na karsakogay (toye) aur apnay rabb ki yaad zyaada
karo aur sham aur subah tasbeeh parho 3:41(4AIN11-12) aur jiss waqt
farishtoun(2) ne kaha k aye maryam yakheenan allah ne tumko chun liya
aur tumko paak kharaar diya aur tumko zamaane bhar ki aurtoun se
bargazeeda kiya 3:42

