Page 84 - Quran-e-Kareem
P. 84
rd
3rd Sureh Aale Imran (84) 3 para
Aur allah her cheez per (poori poori) khudrat rakhne wala hai 3:29 uss
din her nafs uss nayki ko jo wo ker chuka hai aur uss badee ko jo wo ker
chuka hai (jeem) moujuud paayega (jeem) aur ye khwaahish karega k
kaash khud uske aur uss din k maabayn ek muddat taweel haamil hoti
(toye) aur allah tumko apnay se daraata hai (toye) aur allah kull bandoun
per meherbaan hai 3:30(3AIN10-11) (aye rasool) kehdo agar tum allah ko
dost rakhte ho (1) to meri pairwee karo taa k allah tumko dost rakhey aur
tumhaare gunah baksh de (toye) aur allah badha bakhashne wala (aur)
rehem karne wala hai 3:31 kehdo tum allah aur rasool ki itaayat karo
(jeem) phir agar wo rogardaani karey to yakheenan allah munkiroun ko
dost nahi rakhta 3:32 ba tehqeeq allah ne (2) adam aur noah aur aal e
Ibrahim aur aal e imran ko tamaam aalemoon se bargazeeda kiya 3:33(laa)
inmea se baaz baaz ki aulaad hai (toye) aur allah sunne wala (aur) janne
waale hai 3:34 jiss waqt imran ki zaujah ne ye arz ki k

