Page 94 - Quran-e-Kareem
P. 94
rd
3rd Sureh Aale Imran (94) 3 para
(Tilaawat) kitaab mea apni zabaan ko iss tarah morhta hai k tum usko
kitaab ka juzz o qayaal karlo halaan k wo kitaab na ho (jeem) aur wo ye
bhi kehte hai (1) k ye allah k pass se hai halaan k wo allah k pass se nahi
hai (jeem) aur wo jaan bujh ker allah per bohtaan baandhte hai 3:78 kisi
basher (2) ka ye housla nahi hai k khuda to usko kitaab aur hikmat aur
nabuuwat de phir wo sab aadmiyoun se ye kahey k tum khuda ko chorker
mere bandhey banjaao albatta (ye keh sakta hai k ) jaise tum kitaab ki
taleem o tajrees (dars ) karte ho aise tum khud allah waale banjaao
3:79(laa) aur(allah) tumko ye hukum nahi deta k tum farishtoun ko aur
payghambaroun ko khuda banaao (toye)kia wo tumko kufr ka hukum
dega baad iske k tum musalmaan ho chukey ho 3:80(8AIN9-16) aur jiss
waqt khuda ne payghambaroun se ahad liya (4) tha k mea tumko kitaab
aur hikmat dunga phir ek rasool tumhaare pass waali cheezoun ki tasdeeq
karta hua aayega to tum zaroor (ba zaroor) ussper imaan lana aur zaroor
(bazaroor) uski madad karna (toye) (phir khuda ne) farmaya kia tumne
iska iqraar kiya aur kia

