Page 103 - Quran-e-Kareem
P. 103
th
3rd Sureh Aale Imran (103) 4 para
Apnay daantoun se kaantte hai (toye) kehdo k tum aap hee apnay ghusse
se marjaao (toye) beshak allah diloun k haal se waaqif hai 3:119 agar
tumko koi nafa pohonchta hai to unko bura lagta hai aur agar tumper koi
museebat parhti hai to isse wok khush hotey hai (toye) aur agar tum sabar
karogay aur unse bachte rahogay to unka makkar tumko kuch nuqsaan na
pohonchaayega (toye) ismea shak nahi k jo kuch (bhi) wo karte hai khuda
k ahaat mea 3:120 (12AIN11-3) (aur aye rasool tum uss waqt ko yaad karo)
jab k subah hee subah tum apnay baal bachoun mea se nikley aur
momineen ko laraayi k morchoun mea bithaane lagey (toye) aur allah
sunne wala janne wala hai 3:121 (aur uss waqt ko yaad karo) jab k tum
mea se do growhoun ne himmat haar deni chaahi (laa) halaan k allah
undono ki madad per tha (toye) aur mominoun ko allah hee per bharosa
karna chahyea 3:122beshak allah ne badar mea tumhaari (3) madad ki jab
k tum haseer they (3) (jeem) pass khuda se daro taa k tum shukr guzaar
hojaao 3:123 (aye payghamber tum uss waqt ko yaad karo) jab tum
mominoun se yeh keh rahey they k kia ye baat tumhaare liye kaafi n hogi
k tumhaara parwardigaar (aasmaan se ) teen hazaar farishte bhejker
tumhaari madad karega 3:124(toye)

