Page 108 - Quran-e-Kareem
P. 108
3rd Sureh Aale Imran (108) 4 para
th
Pusst kin aur budhaapann zaahir kiya aur na (dushman k aagay) gird
girdaaye (toye) aur allah (aise hee) sabr karne waaloun ko dost rakhta hai
3:146 aur unka khoul iske siwaa kuch na tha k unhone ye kaha k aye
hamaare parwardigaar (1) hamaare gunaahoun ko aur hamaare
muaamelaat mea hamaari zyaadatiyoun ko baksh de aur hamaare khadam
jamaaye rakh aur in kaafir logoun k barkhilaaf hamaari madad karr 3:147
phir allah ne unko dunia ka bhi badla diya aur aakheratt ka badla usse
acha diya (toye) aur allah nayki karne waalou ko pasand karta hai
3:148(15AIN5-6) aye imaan laane waaloun ! agar tum kaafiraoun ki itaayat
karogay to wo tumko tumhaare pichle paaon lauta denge (6) phir tum
ziyaankaar(nuqsan uthaane waale) hoker palat jaaogay 3:149 balke allah
tumhaara haami (jeem) aur sab se acha madadgaar hai 3:150 ankhareeb
hum kaafiraoun k dil mea roab daal denge ba waja iske k (3) usko
unhoney khuda ka shareek qaraar diya jiski baabat (baarey mea) usne koi
daleel naazil nahi ki (jeem) aur unka thikaana jahannum hai (toye) aur
zaalimoun ki baazgasht bohhot hee buri hai 3:151 aur beshak allah ne
tumse apna waada (4) saccha kiya jab k tum uske

