Page 104 - Quran-e-Kareem
P. 104

th
               3rd Sureh Aale Imran                        (104)                       4   para


               haan (laa) agar tum sabr karo aur naa farmani se bacho aur dushman


               tumhey yekaayak aale to tumhaara parwardigaar paanch hazaar sajey

               sajaaye farishtoun se (1) tumhaari madad karega 3:125 aur ye madad


               khuda ne muqarrar nahi ki magar iss liye k tumhaare liye khush khabri ho

               aur issliye k tumhaare dil isse mutmayeen hojaaye (toye) aur har madad


               zabardast hikmat waale khuda hee ki taraf se hoti hai 3:126(laa) taa k


               kaafiraoun k jhadte(group) mea se kuch kamm karde yaa unko aesa zaleel

               karey k wo nakaam palat jaaye 3:127(aye rasool) iss muaamle mea (2)


               tumhaara kuch ikhtiyaar nahi khawaa khuda unki touba qubool karey ya

               unko azaab de iss liye k wo zaalim hai 3:128aur jo kuch aasmanoun mea


               hai aur jo kuch zameen mea hai wo sab allah hee ka hai (toye) wo jisse


               chahta hai baksh deta hai aur jisse chaahta hai azaab karta hai (toye) aur

               allah badhaa bakhashne wala (aur) rehem karne wala hai 3:129(13AIN9-4)


               aye imaan laane waaloun ! (3) do naa duun (asal ka dugni rishwat) suud
   99   100   101   102   103   104   105   106   107   108   109