Page 109 - Quran-e-Kareem
P. 109
th
3rd Sureh Aale Imran (109) 4 para
Hukum se unko khatl karte rahey (jeem) yahaan tak k jab tum ne himmat
haar di (1) aur apni pasand ki cheezain dekhne k baad muaamle mea aapas
mea jhagarne lagay aur (rasool ki) naafarmani ki (toye) tum mea se baaz
(2) dunia k talabgaar rahey aur baaz aakherat k khwaayestegaar hai
(jeem)(3) phir tumhaara rukh unki taraf se phayr diya k tumhaara
imtehaan le (jeem) aur yaqeenan khuda ne tumse darrguzarr ki (toye) aur
allah mominoun per( badhaa) fazal karne wala hai 3:152jab tum duur
bhaagey chaley jaate they aur kisi ko palat ker (bhi) na dekhte they aur
peechey se rasool tumko pukaar rahey they (4) phir khuda ne tumko ranj
per ranj pohonchaaya (5) taa k jo kuch tumhaare haath se nikal gaya hai
ussper aur jo museebatayn tum per parhi hai unnper afsos naa karo (toye)
aur jo kuch amal tum karte ho allah uss se khabardaar hai 3:153 phir baad
iss ranj k khuda ne tum per chayn ki neend naazil ki jo tum mea se ek
grow per chaa gayi (laa) aur ek grow ko apni jaan k laaley parh gaye aur
khuda ki nisbat naa haq kuffaar ki see badd gumaaniyaan karte they (toye)
kehte they iss muaamle mea kuch hamaara bhi ikhtiyaar hai ?

