Page 112 - Quran-e-Kareem
P. 112
th
3rd Sureh Aale Imran (112) 4 para
To phir wo kaun hai jo uske khilaaf tumhaari nusrat karega ?(toye) aur
mominoun ko laazim hai k allah hee per bharosa kiya karey 3:160 aur nabi
ki yeh shaan nahi hai k wo khoofiyya koi cheez urhaale(1)(toye) aur jo
shaks koi cheez khoofiyya urhaa lega (2) to qayamat k din wo usse zaahir
karni pareygi phir her shaks ko uski kartoot ka badla poora (poora) diya
jaayega aur unn per zulm naa kiya jaayega3:161 kia wo shaks jo (3)
khushnoodi e khuda k taabe ho uske maanind hojaayega jo hayr phayr kar
(4) khuda k ghazab mea giraftaar ho aur uska thikaana jahannum ho
(toye) aur wo bohhot hee buri baaz gasht hai 3:162 unke to khuda k
nazdeek barhe darjey hai (toye) aur jo (jo) kuch wo karte hai khuda unka
nigraan hai 3:163 beshak allah ne mominoun per ehsaan kiya jab k ek
rasool unhi mea se maaboos kardiya jo unn per khuda ki aayatein parta
hai aur unko (zahirann o baatinann)paak karta hai aur unko kitaab aur
hikmat ki taleem deta hai (jeem) beshak isse pehle wo khuli gumraahi mea
they 3:164 kia jab tum per aisee museebat aa parhi (5) jisse dugni tum
khud pohoncha chukey they (laa) to tum ye kehne lagey k ye kahan se
aayi (toye)

