Page 116 - Quran-e-Kareem
P. 116
th
3rd Sureh Aale Imran (116) 4 para
Baat k liye) muntakhab kar leta hai (swat) pass tum allah per aur uske
rasooloun per imaan laao (toye) aur agar tum imaan laaogay aur
parhezgaari bartogay to tumhaare hee liye bohhot badha ajar hoga 3:179
aur jo log uske baare mea bukhol(kanjoosi) karte hai jo kuch allah ne
apnay fazal se unko diya hai wo hargiz ye gumaan karey k unka ye
bukhol(kanjoosi) karna unke liye acha hai (toye) balke ye unke liye bura
hai (toye) khareeb hai k qayamat k din wahi cheezain jin k baarey mea wo
bukhol (kanjoosi) karte they tauq banaaker unko pehnaadi jaayegi (toye)
aur kul aasmanoun aur zameenoun ki miraas khuda hee ki hai (toye) aur
jo kuch tum karte ho khuda uss sab se aagah hai 3:180(18AIN9-9)
yakheenan allah ne unn logoun ki baat sunli jinhonay ye kaha k (2) allah
to mohtaaj hai aur hum maaldar hai (meem) jo kuch unhonay kaha(3) wo
aur unka ambiyaan ko naa haq khatl karna hum likh lenge (laa) aur
kahenge k aag k azaab ka mazaa chako 3:181 tumhaare haathoun jo kuch
ho chuka ye ussi ka badla hai aur yakheenan allah (apnay ) bandoun k haq
mea zaalim nahi hai 3:182(jeem) jinhonay ye kehdiya k allah ne hum se
ahad liya hai k hum kisi rasool per imaan na laaye jab tak k wo aisee
qurbani hamaare ru baru pesh na karey jisko aag kha jaaye (toye)

