Page 120 - Quran-e-Kareem
        P. 120
     th
               3rd Sureh Aale Imran                        (120)                       4   para
               Jo log (1) kaafir hogaye hai unki shaher ba shaher ki aamad o raft(aana
               jaana) tumko hargiz dhokey mea na (2) daale 3:196(toye) ye chandd roza
               poonji hai (qaff) phir unka thikana jahannum hai (toye) aur wo bohhot
               hee bura thikana hai 3:197 lekin jo log apnay parwardigaar se darte hai
               unke liye aese baaghat hai jinke neechey nadiyaa behti phirti hai wo
               hamesha hamesha unhee mea rahenge ye allah ki taraf se ek mehmaani
               hogi (toye) aur sab se acha (silaa) wo hai jo naykiyoun k liye allah k paas
               (mahiyya ) hai 3:198 aur beshak ahle kitaab mea se kuch log (3) aise hai jo
               khuda per aur tumhaari taraf jo naazil kiya gaya hai ussper aur jo kuch
               unki taraf naazil kiya gaya tha ussper imaan rakhte hai allah se darte hai
               (laa)(aur) allah ki aayatoun ko thori thori kheemat per nahi bechte (toye)
               unhee ka ajr unke rab k paas hai (toye) beshak allah bohhot jald hisaab
               lene wala hai 3:199 aye imaan laane waalo ! sabr karo aur ek dusre ko (4)
               sabr dilaao aur (5) (itaayat e imam) per kamar kass lo (qaff) aur allah se
               darte raho taa k tum falaa paao 3:200(20AIN11-11)





