Page 121 - Quran-e-Kareem
P. 121

th
                 th
               4   Sureh An-Nisa                           (121)                       4   para

               SUREH AN-NISA (MADANIYYA) 176 AAYAT



               Bismillah Ar Rahman Nir Raheem



               Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)


               Aye aadmiyoun ! tum apnay parwardigaar se daro jisne tumko ek


               mutanaffas se payda kiya (1) aur ussi (ki bachi mitthi ) se uska jorha


               banaaya aur undono se bohhot se mard aur aurtein phaylaadeen  (jeem)

               aur uss allah se daro jiska waasta dekar aapas mea tum sawaal karte ho (3)


               aur khata rehmi(taalukhat khatam karne ) se bacho (toye) iss mea shak


               nahi k khuda tum per nigraan hai 4:1 aur yateemoun ko unke maal dedo

               aur bure ko achey se na badlo (swat) aur apnay maal k saath


               (milaaker)unke maal na khaajao(toye) bila shak ye bohhot badha gunah


               hai 4:2 aur agar tumko ye khauff ho k yateem larkiyoun k baare mea insaaf

               na karsakogay(3) to (aur) aurtoun mea se jo tum ko pasand aajaaye do do


               teen teen char char se nikah karlo (jeem) phir agar (4) tumhey ye khauff

               ho k (unke maa bayn bhi) adaalat na kar sakogay to mankuuha (jo nikah


               mea aayi hai)  ek hee ho ya (laundiyaan) jo tumhaari milkiyyat ho (toye)


               ye baat naa insaafi se bachne k liye akhrab hai 4:3(toye) aur aurtoun ko

               unke
   116   117   118   119   120   121   122   123   124   125   126