Page 117 - Quran-e-Kareem
P. 117
th
3rd Sureh Aale Imran (117) 4 para
(aye rasool) tum ye kehdo k mujhse pehle bohhot se rasool(1) tumhaare
pass khuli daleelayn lekar aaye they aur jo kuch tum kehte ho ye (bhi)
laaye they phir agar tum sacchey ho to tumne unko khatl kyun kiya tha ?
3:183 phir (bhi) agar wo tumko jhutlaaye to tumse pehle bohhot se aese
rasool jhutlaaye gaye hai jo khuli nishaniya (bhi)laaye they aur nasiyyat ki
baatein (bhi) aur roshan kitaab (bhi) 3:184 her jaan (2) ko maut ka maza
chakna hai (toye) aur qayamat k din tumko tumhaare ajar poore poore
diye jaayenge (toye) pass jo shaks aatish e jahannum se bachaa liya gaya
(3) aur jannat mea daakhil kardiya gaya wo yakheenan kaamyab hogaya
(toye) aur ye zindagaani dunya sirf dhokey ki tatti hai 3:185 zaroor tum
apnay maaloun aur jaanoun k baare mea aazmaaye jaaogay (qaff) aur jin
logoun ko tumse pehle kitaab dee gayi hai unse aur jo log mushrik hogaye
hai unse zaroor bohhot see izaa ki baatein sunogay (toye) aur agar tum
sabr karogay aur parhezgaar rahogay to yahee to pukhtagee k kaamoun
mea se (ek baat) hai 3:186 aur (uss waqt ko yaad karo) jab k allah ne un
logoun se jinko kitaab dee gayi thi iss baat ka

