Page 118 - Quran-e-Kareem
P. 118
th
3rd Sureh Aale Imran (118) 4 para
Ahad le liya tha k zaroor tum usko kull aadmiyoun se kholker bayaan
karna aur usko posheeda na karna phir unhone iss ahad e khuda ko pas e
pusht daal diya aur kitaab e khuda ko thori see kheemat per bech liya
(toye) to kia hee buri wo kheemat hai jo wo lete hai 3:187 jo log apnay
kiye per khush hotey hai aur ye chahte hai k jo kuch unhone nahi kiya
ussper bhi unki taarif ki jaaye (swat) unki nisbat hargiz ye gumaan na
karna k wo azaab se bachenge (jeem) halaanke unke liye dardnaak azaab
(tayyar) hai 3:188 aur kul aasmanoun ki aur zameen ki baadshaahi khuda
hee k liye hai (toye) aur allah her shay per khudrat rakhne wala hai
3:189(19AIN9-10) beshak aasmanoun ki aur zameen ki paydaayesh mea
aur raat aur din ki adal badal mea unn saahebaan e aql k liye nishaaniyan
moujuud hai 3:190 (jeem)(swaat) (laa) jo kharey (kharey) aur baythe
(baythe) aur karwatoun k bal (lete lete) allah ko yaad (1) karte rehte hai
aur aasman o zameen ki paydaayesh mea ghour karte hai (2) (jeem) (to ye
kehte hai k) aye hamaare parwardigaar tu ne inko fuzool nahi payda kiya
(jeem) teri zaat paak hai pass tuu humko aatish e dozakh se bachaale 3:191
aye hamaare parwardigaar beshak jisko tu jahannum mea daakhil karey
(laa)

