Page 115 - Quran-e-Kareem
P. 115
th
3rd Sureh Aale Imran (115) 4 para
Hai(swat) pass agar tum momin ho to unse hiraansa(khauffzada) na ho
sirf mujhse hee darte raho 3:175 aur(aye rasool) ye log jo kufr ki taraf
daure chaley jaate hai ye baat tumko kuch ranjh na pohonchaaye (jeem)
yakheenan wo allah ka kuch na bigaadenge (toye) (aur) allah ka iraada hai
k aakherat mea unka kuch hissa na rakhey (jeem) aur unke liye badhaa
azaab (tayyar) hai 3:176 beshak jin logoun ne kufr ko (ba khushi) imaan k
badley khareed liya wo hargiz khuda ka kuch nuqsaan na karenge (jeem)
aur unke liye dardnaak azaab hai 3:177 aur jo log munkir hogaye hai wo
kabhi ye gumaan na karey k hum jo mohlat unko dete hai ye unke liye
kuch behtari hai (1)(toye) hum to unko issliye mohlat dete hai k
gunehgaari mea wo aur barh jaaye (jeem) aur unke liye zillat e dunia wala
azaab (mahiyya) hai 3:178 khuda ki ye shaan nahi hai k mominoun ko
ussi haalat mea rehne de k jiss haalat per tum ho yahaan tak k napaak ko
paak se juda na karde (toye) aur khuda ki ye shaan nahi hai k wo tumko
ghayb ki baatoun se aagah karde lekin khuda yetaala apnay rasooloun mea
se jisko chahta hai (iss

