Page 111 - Quran-e-Kareem
P. 111
th
3rd Sureh Aale Imran (111) 4 para
Agar ye hamaare pass rehte to na maut se darte aur na khatl kiye jaate
(tumko manah iss liye kiya k)(jeem) khuda ne iss khayaal ko unke liye un
k diloun mea ek hasrat qaraar dediya hai (toye) halaan k allah hee jilaata
aur maarta hai (toye) aur jo amaal tum karte ho allah unn sab ka dekhne
wala hai 3:156 aur agar tum raah e khuda mea khatl kiye gaye (1) ya apni
maut se marr gaye to jo kuch log jamah karte rehte hai unn sab se khuda
ki maghferatt aur rehmat bohhot hee behtar hai 3:157 aur agar tum (waise
hee) marr gaye ya khatl kardiye gaye to bhi khuda ki huzoor mea
mahshuur (hashar mea pesh) kiye jaaogay 3:158 phir (aye rasool) khuda
hee ki rehmat k sabab se tum ne unn se narmi barti(jeem) aur agar tum
durust mizaaj aur sakht dil hotey to wo tumhaare pass se mutafarriq (alag)
hojaate (swat) pass ab bhi tum unse darguzarr karo aur unke liye dua e
maghferatt karo (2) aur unse muaamelaat mea mashwera karliya karo
(jeem) aur jab tum kisi baat ka pokhta iraada karlo to uss waqt allah per
bharosa kiya karo (toye) yakheenan allah bharosa karne waaloun ko dost
rakhta hai 3:159 agar allah tumhaari madad karega to koi tumper ghalba
na paayega (jeem) aur agar wo tumko chor dega

